Kuch soone soone raasto pe saath akela mai sab k saath.....
kadam dar kadam kuch lamhe ; kured rahe the mere khwaab.....
raftaar kuch dheemi si thi par chaal me teji wahi barkaar....
muskaan thi lambi gehri lekin ansu chalak rahe har baar.....
dekh sabhi ne socha shyad khushi ke ansu hai hasi ke saath....
par koi yeh na dekh saka ki gumo bhari thi wo muskaan......
chalta raha chalata raha....raaste na bichde jab tak wahan....
kho gaya fir uss mod pe jaake.....muda jaha se tha mai akela.....
kuch door chala ek aahat se chauka ....shyad koi aaya tha...
wo ek wahi tha saath me mere jisne apna mujhe bnya tha....
dekh usse uss raah me ...chlake aansu fir iss baar...
par yeh ansu khushi ke hi the ...jiskj muje thi kab se darkaar...
wo saath chala fir saath me mere ...aur khushi ka saya tha....
soona mera jeevan tha kab se ...ab sab kuch maine paaya tha...
ab sab kuch maine paaya tha.....
-vivek
No comments:
Post a Comment