Mai sochta hu aksar…
Yeh dar hai mera haar jaane ka jo muje
badhne nahi deta , ya itni hi seemit hai wasiyat mere khwabon ki…
Mai sochta hun aksar….
Ki kya jaruri hai jeet jana h har baar , ya koshish ke paseena ka
bhi koi mol hota hai…
Mai sochta hu akasar…
Ku sirf muje hi dikhti hai mehnat
meri mai jab haar jata hu, kya doosro ke surmo me chahi hai dhundh sirf chamak ki..
Mai sochta hu akasar…
Dena hi hai agar jo kisi ko kuch
toh usse haar jaane ki sahuliyat do, jab wo badhega aage bekhauf apne iraadon pe th jeet
jana usse h aakhir…
-vivek tiwari
No comments:
Post a Comment