kaash keh paata wo lafjo me jo mere dil me hai...
kaash bayane guftgu hoti jo dhadkano ki mehfil me hai...
un th aksar hi halchal rahi hai mahaul me darmiyan....
par ek gajab taheraav ehsaason ke saahil me hai...
maine aksar hi socha hai ki dil na kisi ka dukhaun...
gumo ki har ek boond ko mai khud h pee jaun...
par aksar hi bheega raha hai badan nakaamiyon ke fuharon se...
bas dhoondhta raha lafz hi kis tarah se unko jataun...
dekha hai maine tuje uss tofaan ko dabaye seene me....
aksar hi pareshan khatir doosron ki nahaye koshishon ke paseene me....
kaash mai jo kuch kar pata kahatir teri....
toh naam tere jaan mai krta.. ...fir muje bhi maja aata kuch khul kr jeene
me....
gar kabhi ho bhi jaaye bhool iss dil se....
th na ruswa karna kabhi dil ki bhari mehfil se....
na jee payega jo baar ek bhi gira najron me teri....
kho jaayega yeh lahron ka samandar milke apne saahil se...
milke apne saahil se.....
-vivek
amazing my boy..i didnt knw u wrote such wonderful poems....so can i have ur autograph..!! ;)
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
DeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDelete