Saturday 9 February 2013

yaadon ki chaon....


this poem is dedicated to my elder brother (bhaiya).....



babasta yun hi kadam se kadam milaane ki....
koshish aksar hi krta rha tum jaisa ban jane ki...
yeh gum nahi ku kabhi na jataya maine....
jaruat ni hoti khuda ko kuch batane ki....

wo yaden beete palon ki aksar h rula jaati hain....
mai khud se rooth jaata hu toh muje  manati hain....
kehti hain mai aayi hu aaj fir ,  yadon m jee le mujhe...
aur behla ke dil pahar do pahar, yeh khud h kahin jaise kho si jaati hain....

wo najare jhoom jate hain ankho m bin batye hi..
kho jata hu un me mai dhundh hakikat ki bin hataye hi...
ek jindgi mujhme jaise badh rahi ho raftaar se apni...
aur ek yun simat k daayre me mere jaise saath chalti jayegi.. ....

mai th aj bhi uss mod pe khada dekh raha hu jindgi ko ....
jahan hum ne bachpan saath bitaya tha....
kabhi ansu dhundhli krde tasreevron ko baat alag hai....
un yaadon ko maine na kabhi bhulaya tha....

shukragujaar hu mai uss khuda jo saath jiye in raahon me.....
hum sath badhe aur sath chale hain un bisri yaadon ki chaon  me....
jo kabhi mukammal khawab hua th bas khwaab yahi mai dekhta hun....
kya khoob jindgi uss khuda ne bakshi..bas dum toote un baahon me..
bas dum toote un baahon me... 

                                           ---vivek tiwari









No comments:

Post a Comment