Saturday, 14 December 2013





Mai sochta hu aksar…
Yeh dar hai mera haar jaane ka jo muje badhne nahi deta , ya itni hi seemit hai wasiyat mere khwabon ki…

Mai sochta hun aksar….
Ki kya jaruri hai jeet  jana h har baar , ya koshish ke paseena ka bhi koi mol hota hai…

Mai sochta hu akasar…
Ku sirf muje hi dikhti hai mehnat meri mai jab haar jata hu, kya doosro ke surmo  me chahi hai dhundh sirf chamak  ki..

Mai sochta hu akasar…
Dena hi hai agar jo kisi ko kuch toh usse haar jaane ki sahuliyat do, jab wo badhega  aage bekhauf apne  iraadon pe  th  jeet jana usse h aakhir…

                                                                -vivek tiwari


Wednesday, 6 November 2013

SHAKSH



khada aaiyne ke saamne mai par aaiyene me aks tera...
hun toh dekhne me mai , mai hi . par hai mujhme kahin shaksh tera...

kya hai yeh mera saaya; hai kya sach ka jooth aur kya jhooth ki sacchai...
ya mukammal hai yeh jism bhi mera, ya hai yeh bhi teri hi parchaai....

                                                    -vivek

Thursday, 24 October 2013

yaadon ki sair...


YADON KI SAIR...

ki fir aaj dil hai, yaado me kho jaane ka....
intajaar hai toh bas,  iss pal ko kissi bahane ka...

aur kya mil bhi sakta tha, isse accha dil ko bahana 
ki surat jhoom jaaye ankho me , jiska hai yeh dil bhi deewana...

aur  seher ho fir  kuch, bhoole bisre khwabon ki...
boond boond fir ankhen barse, jaise boonden ho shababon ki...

bheeg jaaye yeh tan mera, fir un yaadon ki baarish me...
pooran hote jinhe dekhne , maine padhe hain kalme sifarish me...

                                               - VIVEK TIWARI












Saturday, 2 March 2013

kaali insaaniyat......




kaali dunia ki hakikat kaali....
kale sapno ke waseeyat kaali...
nasiyat kaali kale shabdon ki...
kaale ujaalon ki musibat kaali....

inyaaten khuda ki par khudai kaali...
kaale mansoobe ki muhaali kaali...
manjil kaali kaale raston ki...
hai mushkil kaale sapno ki kaali behaali..

kaali harsaton ki jamanat kaali...
kaali husn ki najakat kaali...
kaali ankho ki maasomiyat kali...
iss dunia ki har hakikat kaali....


       --vivek





Tuesday, 19 February 2013

pyar nahi hota zindgi se kamm



Kitna satati hai..
kitna rulati...
kitne diye hai isne sitam..
par kambakth zor nahi hai dil pe mera
pyar nahi hota jindgi se kam..

jab chaahe aaye...
man marzi fir laut bhi jaaye...
jaane kab kam hoge gum...

vajood ka thekana nahi...
jindgi ka koi afasana nahi...
pal me aankhe hoti nam..

par jor nahi hai dil pe mera ...
pyar nahi hota jindgi se kam..

do pal.ke saathi...
chand lamho ki barsaat...
bheege sapno me khoye hai hum..

alfaaz kabhi ..
jasbaat kabhi...
kabhi kuch ho jaaye ek dum...

par jor nahi hai dil pe mera...
pyaar nahi hota jindgi se kam...

pyar hai mujhe jindgi se ku....
talash hai javab ki ab tak..
bas baat ek hi hai maalum..
ki pyar nahi hota isse ab kamm...

                   --vivek

Sunday, 17 February 2013

humsafar....(random thoughts)





sath jo in raatso pe chal rahe hai hum...
kab kya pata yeh naya mod le...
kab kya pta koi rishta naya jod le....
safar hi yeh hai jindgi meri......
manzil kya hogi kisko kya pata....

inhi rasto pe kahin ...
thahre kahin thandi chaon me.....
do pal sukoon k sath me bitane k liye...
aur wo pal yaado ke kafile me shirkat kar gaye...
ab har kadm hai wo yado ka saaya aur saath chalta hua humsafar....

par ku jaroorat hai yaado ki yeh baat aaj tak ni samajh paaya hu mai......
ya shayd kabhi samajh bhi na paau...
par gum nahi hai muje aab aaj kisi baat ka kuki...
.un yaado me toh mai hamesha hi khush hu apne uss humsafar k saath....
uski khawsih or hasarato ke darmiyan.....


                  -vivek

Friday, 15 February 2013

hakikat.....



hakikat hai wo jo najro pe kayam hai ..
ya wo hai hakikat jo door najro se hai...

kyun dkehta hai yeh najara kuch khamoshi se ....
ku jo na dikh raha wo kuch dil se kahe...


yun jhukta gagan, yun mod mudte se hain...
yaa door hain hum itne ki na dekh pata hain....

hakikat hai wo jo dikhta najaron me hai.....
ya hai koi hakikat bhi uss palchim tale...

wo jata musafir ek din yeh jaan jyega...
hai hakikat ya fasana yeh maan jayega...

hai yeh munasib khtir meri ki mai door h rahun....
kya hakikat hai kya fasana mai kuch na kahun...

kya pata door uss suhani majil k pare...
waqt hai khada aur kya kya bajuon me bhare...

mai koshish kru manjil ko apna banane ki....
ya yun h iss raaste pe jindgi bitane ki....

jo pahuch waha aur majil raas na aayi....
kuch aur hi wo nikle aur iss dil ko na bhaayi....

th fir beshak h ho jayega bekaar uss manjil ko paana...
kya , munasib nahi iss dagar me hi jindgi bitana...

                                 -vivek

Thursday, 14 February 2013

MAA...



baar kitni hi tune khawhishen meri poori karin...
aur hasraten teri reh gayi dhari ki dhari...

chod khawbon ko apne ,chali haath thaam k mera...
dard saare sah agyi,par khila raha chehra tera...

poori jidd har wo meri, tune hai ki....
jarurten jiski aksar na thi mujhe bhi kabhi...

rooh bhi yun chod deti hai saath mera....
jo karan mere dooba askhon me chehra tera...

jo mai kuch krna bhi chahu toh kya kr paunga...
mar bhi jaun teri khatir,toh karz na chuka paunga...

duaon me inyaaten jo kabhi bakshe khuda....
toh janam dar janam mile tu hi maa....
janam dar janam bas bane tu hi meri maa...

Tuesday, 12 February 2013

saathi...





sab waha mai door yaha....
khoj raha koi humraahi...
par jaise khoya hu mai aaj....
aaj saath hai bas tanhaai....

hase hue jaise sadiyan beeti...
rooth gai hi khushi hi jaise...
chehre pe hai choti hasi...
wo bhai bachi bai jaise taise...

saath kisi ka chaahe dil...
jo door hoke bhi saath rahe...
wo hai jiya hi mere khatir ....
chup rahke b mujhse jo kahe....

kuch lamho pe haq ho mera....
mere saare uske ho...
bas saath jo de mera dil se..
chaahe fir aage jo ho.....

kho na jau mai akela iss dunia ke mele me...
koi th ek wo saathi ho jo sath de gumo ke rele me...
koi th ek wo saathi ho jo sath de gumo ke rele me...

                    -vivek

Monday, 11 February 2013

Khaali Lifaafe...




Kitni hai khushiyan kitna hue hai gamo me izaafe...
Khat aaye hai yaado ke ; upar hai hawa ke khali lifaafe..

Yado ke sang bhi wo lifaafe khaali hai..
Sawal aisa ku ; par jawaab na janu mai..

Yaaden shyad kam hai meri aur lifaafe jyada....
Jeevan shatranj ki iss bisaat pe hu shyad ek pyada...

Kash ki hoti yaaden meri..koi aata yaadon se.....
Aur khushi se padhta khat jo aaye the hawa lifaafo me...

              --vivek tiwari

Saturday, 9 February 2013

yaadon ki chaon....


this poem is dedicated to my elder brother (bhaiya).....



babasta yun hi kadam se kadam milaane ki....
koshish aksar hi krta rha tum jaisa ban jane ki...
yeh gum nahi ku kabhi na jataya maine....
jaruat ni hoti khuda ko kuch batane ki....

wo yaden beete palon ki aksar h rula jaati hain....
mai khud se rooth jaata hu toh muje  manati hain....
kehti hain mai aayi hu aaj fir ,  yadon m jee le mujhe...
aur behla ke dil pahar do pahar, yeh khud h kahin jaise kho si jaati hain....

wo najare jhoom jate hain ankho m bin batye hi..
kho jata hu un me mai dhundh hakikat ki bin hataye hi...
ek jindgi mujhme jaise badh rahi ho raftaar se apni...
aur ek yun simat k daayre me mere jaise saath chalti jayegi.. ....

mai th aj bhi uss mod pe khada dekh raha hu jindgi ko ....
jahan hum ne bachpan saath bitaya tha....
kabhi ansu dhundhli krde tasreevron ko baat alag hai....
un yaadon ko maine na kabhi bhulaya tha....

shukragujaar hu mai uss khuda jo saath jiye in raahon me.....
hum sath badhe aur sath chale hain un bisri yaadon ki chaon  me....
jo kabhi mukammal khawab hua th bas khwaab yahi mai dekhta hun....
kya khoob jindgi uss khuda ne bakshi..bas dum toote un baahon me..
bas dum toote un baahon me... 

                                           ---vivek tiwari









Friday, 8 February 2013

HAQ....




tere yun humpe haq jatana....
khatir humari h humse gussa ho jana.

ibaadaton me apni hume kabhi na bhulana....
har koshish me hume khush kr jana..

tera yun rooth kr hume h manana....
gusse me b kabhi akela chod kr na jana...

aur ek hum hai jo sitam kiye jaa rahe the....
tuje dukh dard bevajh h diye jaa rahe the...

par fakat aaj yeh yakeen ho gya aye meri humnasheen....
ki bin tere jeena mera bhi mumkin nahi....

bin tere jeena mera bhi mumkin nahi.....

           --vivek

THE DREAM


                                                                                        
HE WOKE UP EARLY THAT DAY IN THE MORNING ,IRRESPECTIVE OF HIS SLEEPING TILL NOON HABIT , HIS MOM WAS SURPRISED TO SEE THAT THE BOY WHO USED TO SLEEP TILL SHE YELLED AT HIM TO WAKE UP AT LEAST 1000 TIMES ,IS NOT ONLY OUT OF HIS BED EARLY BUT HAS ALSO GREETED EVERY ONE IN THE HOUSE WITH SO MUCH RESPECT....
EVERY ONE WAS SHOCKED TO SEE THE CHANGE IN JUST ONE NIGHT ..IT SEEMED LIKE SOME KIND OF MIRACLE TO THEM.....THEY COULD NOT DIGEST THE FEELING THAT THE BOY HAS REALLY CHANGED OR IS IT SOME KIND OF DREAM......
HE DRESSED UP TO GO OUT SOMEWHERE, IT WAS ABOUT 8 IN THE MORNING...
HIS MOM MADE HIM BREAKFAST ,HE USUALLY HAD BREAKFAST OUT WITH HIS FRIENDS BUT THAT DAY HE HAD IT FASTLY AND ALSO PRAISED THE WAY IT WAS PREPARED....
WHILE GOIN OUT HE TOUCHED FEET OF HIS MOM AND DAD...NOW THAT WAS THE BIGGEST SHOCK OF THE DAY FOR BOTH OF THEM ,....THIS WAS THE FIRST TIME HE DID THAT....
FAMILY WAS EXTREMELY HAPPIE TO SEE THEIR BOY CHANGE THIS WAY...THEY WERE MESMERISED BY THE FEELING OF IT....
HE BID GUD BYE TO EVERYONE BEFORE LEAVING TO GO MEET HIS FRIENDS....
WITH ALL HIS BEST FRIENDS HE WENT OUT SOMEWHERE TO PARTY ..

IT WAS AWFULL NOW THAT HE STARTED TO MAKE JOKE ON HIS ALL FAMILY MEMBERS
TALKING ABOUT THE MORNIG INCIDENTS....
HE LAUGHED DISCUSSING REACTIONS OF ALL OF THEM ...HIS MOM ..HIS DAD...EVERYONE
THAT HE ACTUALLY FOOLED THEM BY HIS BEHAVIOUR THIS MORNING
HE DIDNT ACTUALLY CHANGE BUT IT WAS JUST A PRANK HE PLAYED ACCORDING TO HIM....

ON THE OTHER SIDE....AT HOME HIS MOM AND DAD WERE DISCUSSING TO SURPRISE HIM TOO , WITH SOME GREAT GIFT HE WOULD LOVE TO HAVE ...
AND THEN THEY RECEIVE A CALL .....THE PERSON ON THE OTHER SIDE INFORMED THEM ABOUT THE ACCIDENT OF BOY WITH THE TRUCK WHILE HE WAS DRIVING VERY FAST AND VIGROUSLY...
THEY ALMOST DIED HEARING THAT....THEY WERE HAPPIE THAT THEY GOT THEIR SON BACK JUST IN THE MORNING, AND IT WAS NOT FAIR TO TAKE HIM BACK THIS WAY... THEY CRIED TO GOD TO RETURN HIM BACK TO THEM....BUT THE BOY WAS GONE....
HIS PARENTS DIDNT KNOW THAT THEIR SON WAS MAKING FUN OF THEM WITH HIS FRIENDS...WHAT HAPPENED IN THE MORNING WAS JUST A JOKE FOE HIM.....

AND THEN SUDDENLY HE WOKE UP ....HEARING HIS MOM ..YELLING AT HIM TO WAKE UP AS IT WAS ABOUT 11:30 IN THE MORNING....
THIS ALL WAS HIS DREAM .....HE DIDNT KNOW HOW TO REACT TO IT....
BUT THE DREAM HE HAD HAS ACTUALLY MOVED HIM FROM INSIDE....
HE NOW HAS REALLY CHANGED ....HE GOT OUT OF HIS BED AND HUGGED HIS MOM AND CRIED LIKE HELL SAYIN SORRY FOR EVERTHING THAT HE DID EARLIER ..THAT HAS HURTTHEM...
HE PROMISED TO BE A GUD SON ....THE FAMILY NOW WAS REALLY HAPPIE TO SEE THEIR SON THIS WAY.....
THIS TIME IT WAS REALITY......OR THIS TOO WAS A DREAM ??

REALITY AND DREAM ARE THE SAME THINGS ...ITS JUST THE WAY U LIVE THEM....MAKE THEM DIFFERENT FROM EACH OTHER...

ARE U IN A DREAM OR REALITY ? HOW WOULD U KNOW IT ?
WHAT IF U WAKE UP AND THIS ALL END UP AS A DREAM ?
KEEP THINKING......

                                       -VIVEK TIWARI




Thursday, 7 February 2013

vajah - poem

it is the poem related to my last post VAJAH (http://www.feelbywords.blogspot.in/2013/02/vajah.html )




koi shaksh aaj mujhme kuch rootha sa hai...

andar h andar kuch toota sa hai...
VAJAH  kya yeh th pata nahi ...par...
lagta hai kisi k husne ne usse loota sa hai....


baat wo na keh saka jo haal e dil ki thi....
ek kasak bas dil ki dil me rahi...
kya VAJAH thi jo lafz wo sab keh na sake...
par jindgi uss pal se jaise taher si gayi....

maaloom na th der ho jayegi...
lahron me h kashti yeh kho jyegi...
khata kya hui VAJAH maloom na thi....
par pata na tha yeh ki aisa hoga kabhi...

baten bhot si reh gayi ankahi...
kuch meri galat kuch uski sahi...
ku door hai wo aaj mujhse VAJAH th maloom nahi...
par shayd wo khud h smjhegi kabhi...

               -vivek

Wednesday, 6 February 2013

VAJAH...




Aaj chaahat nahi hai ki khud k saath bhi rahu.......koshish hai ki wo shaksh jo mujhme kahin hai kho jaaye kahin muje akela chodd kar.......
Har ek ghadi ki aahat pe dil khush ho jata hai kisi avaaj ko uske aane ki dastak samjh kar aur chod kar sab kuch khush hone ki taiyaari krta par usse har pal yahi ehsaas hota ki yeh pal bhi beete palo jaisa h hai .....yeh pal bhi dushman hai uska ..yeh pal bhi use jaise batane aaya tha ki ab tu akela hai...yeh dasatn hai aise h kuch palon ki jab yeh ankhe taras rahin thi kisi ke aks ko apne rooh me utarne ki khatir.....par na jaane kya hua hai jaane anjaane me ; kya aise bhi khata kr baitha yeh dil ; jo usse khoya maine jiski hasi pe ek umaar kurbaan hai meri.....par yeh dil bechain hai na pakar wo jawab jo isse chiye......mere gusse me pyaar ki aahat .....gussa iss baat ka ki mai yeh na jaan paya ki ku wo door hai mujhse ...aur pyaar toh har uss pal me tha jab se mai usse mila hu...shayd kisi din muje wo jawaab mile aur mai khush ho saku usse naa pakar bhi ki muje yeh th pata hai ki ku na wo meri ho saki aur agle janam mai usse apna bana ke rahunga..aur mai jo baaten usse bata na saka usse kabhi jata na saka unhe mai shabdo se kabi samjha na pauga.....mumkin hai ehsaas hoga use hi kabhi........

                
                     (to be continued...... i will post a poem for the same....hope u will like it :) )                                        

Tuesday, 5 February 2013

jashn e tanhaai




thahar jara parwane shama ko th jal jaane de..
yeh din jara sa bahal toh le fir shaam ko th dhal jaane de
fir saath baith kho jaayenge un bhooli bisri yaado me
kho jaayenge fir hum dono un shor gul sannaato me..
un koocho me un galiyon me jahan kabhi se gujre the
un mod raasto ke ant me jahan jaam kabi chalke the..
thahar jara parwane shama ko th jal jaane de....
yeh din jara sa bahal toh le shaam ko toh dhal jaane de...

         -- vivek

Monday, 4 February 2013

sapno ki dunia...




tode hue marode hue sab se alag kuch chode hue...
lamho me hi hai jindgi meri ....


baato me raato me chote chote jadbaaton me...
hi hai saari khushi meri....


aate hue jaate hue khuli aankho se sote hue...
sapno ki dunia hai basera mera...


aaj me kal me uss gujre hue pal me....
jee raha hu ab tak mai....


bas yahi kuch choti khushiyan hai mere paas ho sake th

               rehne do....ho sake th rehne do..

  --- vivek

Saturday, 2 February 2013

alone and loneliness....



alone and loneliness..both words implies of being in company with nobody but us instead...
but still there is a huge difference in both ....u being alone....and goin through loneliness...

alone on one hand sometimes may give u a feeling of happiness as u sometimes really want to spend time away from every one.....but loneliness is something u will never feel happiee about....
being alone is ..being away physically from everyone....may or may not being in touch thorugh the eternal wireless system called consciousness ....
but lonelines implies the breakage of that system ....u get a feeling that there is no one out there who cares for u....there is nothing u are good at....and the life is goin no where, but near end ...

loneliness is the self created state of mind where ur mind is in the syncronization with the sad feelings of ur heart.....the two (heart and mind) very rarely are syncronized ....and only result in two things..extreme happiness or extreme sorrow....


hum th soch aaye the na ab kadam badhyenge...
wo rasste un raahon pe ab th hum na jayenge...

kya wo dil ka malaal tha...
wo kya dil ka haal tha...

ki hum badhe taraf ussi ...
jahan dil hua halaal tha...

alag hate the hum kabhi ki door kuch rahenge ab....
ki ab ho jaye jo bhi akele h sahnge ab...

par kya pata tha jaan e dil ki hasti hi kho jyegi..
iss dil ko akele rahne ki aadat si ho jyegei....

aur aaj yeh mukaan hai ki ...hum alag hai jamane se....
na yeh ab jude baandh yeh ...na hoga kuch jatane se...
na hoga kuch jatane se...


                          -- vivek



ZINDGI...




Zindagi ki zindagi me jeevan main jee raha
Jee naa paya jee bhar k, zindagi se hu khafa....

Zindagi k chaar pal, maut k udhar pal.
Jee naa paya jee bhar ke, sochta raha mail kal.....

Khushiyo ko chhod k ; ghamo ki maine ki nakal.
Khush hone k prayas me, chala hu main sambhal sambhal.
Ghamo ki is bheed me, dhundhta khushi k pal....

Prayaso k pahaad se , hokr firse vifal....
nigaahe hain lakshya par, bhula khud ki shakal...

Gham to bas ye raha ki:
Zindagi ki zindagi me jeevan na jee saka ...
jee na paya jee bhar ke jindgi se tha khafa...

 -vivek

Friday, 1 February 2013

BHRASHTACHAAR....




nashe nashe me gajab ho gaya...... netaji ki udd gayi khilli....
jaam samjh ke gata gat unne.... jab sachai ki ghoonti peeli....

bole...khaya hoga tumne sab kuch.... humne khaya hai naya achaar.....
tej masala gajab swaad hai.... naam hai uska bhrashtachaar....

sona chandi loot liya sab nayi khridi humne car....
thaath hai apni rajshaahi... janta jhoome bhale laachaar....

kitta bhi hum khrch kren.....par bhra pada hai maal apaar....
do roti ko janta tarse.... bhooke naino se chale angaar.....

bada bhyank rog h baba... nahi hai koi iska upchaar....
kuch bhi netaji ke dil ko na bhye.....jab se chakha hai bhrast-achaar.....

har neta jo pee le ghunti fir dekho tum ha ha kaar.....
tej masale se jab jalegi neta ki ..choot jyega bhrashta chaar.....
choot jyega bhrashta chaar....

                 -vivek

Monday, 28 January 2013

Feelings @ love

Jaam par jaam pee gaye un naino ke pyalo se....
Door hokr bhi na hue the door unke khayalon se....

Hum chahte toh de sakte the jawaab unki har ada ka ....
Par dil ghayal tha unke chanchal sawaalon se....

Tasabbor tha judai ...gum tha bewafai ka....
Thaan liya tha dil me na jhanse me aayenge ab....
Par ho gai khata ab fir iss dil se....dosh tha fir ek baar unki kamsin angadaai ka....

Yeh shaam ki masti yeh pedhon ka machalna....
Dil ko bhaya unke un... unke aashiq ka jalna....
Warna wo na jati uss gali jahan najre thi humari..aur chod deti wo aksr un matak ke chalna...

Hum th khoye th unke husn ke dedar me.....
Hum soye the unke anko k pyar me...
Wo bhale na bole lafzo se humko....
Par photo apni unke dil k akhbaar me....

Wo yun taalte gaye....din par din yun nikaalte gaye....
Wo chahte toh rok lete yun bikharna humara....
Par chod dil ko humare wo julfo ko apni sawaarte gaye....

Ab maja na tha unki yaad me peene me....un tadap kr door rh kr jeene me...
Humne toh ankhe mood li thi ..iss khawish me....
Ki jab wo ayenge jee kr yeh tanha jindgi...
Hum rahenge saath unke ...dil bankr unke seene me....

              -vivek

baaten pare lafzon ke....


kaash keh paata wo lafjo me jo mere dil me hai...
kaash bayane guftgu hoti jo dhadkano ki mehfil me hai...
un th aksar hi halchal rahi hai mahaul me darmiyan....
par ek gajab taheraav ehsaason ke saahil me hai...

maine aksar hi socha hai ki dil na kisi ka dukhaun...
gumo ki har ek boond ko mai khud h pee jaun...
par aksar hi bheega raha hai badan nakaamiyon ke fuharon se...
bas dhoondhta raha lafz hi kis tarah se unko jataun...

dekha hai maine tuje uss tofaan ko dabaye seene me....
aksar hi pareshan khatir doosron ki nahaye koshishon ke paseene me....
kaash mai jo kuch kar pata kahatir teri....
toh naam tere jaan mai krta.. ...fir muje bhi maja aata kuch khul kr jeene me....

gar kabhi ho bhi jaaye bhool iss dil se....
th na ruswa karna kabhi dil ki bhari mehfil se....
na jee payega jo baar ek bhi gira najron me teri....
kho jaayega yeh lahron ka samandar milke apne saahil se...
milke apne saahil se.....

  -vivek


Sunday, 27 January 2013

HUMSAFAR...



Kuch soone soone raasto pe saath akela mai sab k saath.....
kadam dar kadam kuch lamhe ; kured rahe the mere khwaab.....

raftaar kuch dheemi si thi par chaal me teji wahi barkaar....
muskaan thi lambi gehri lekin ansu chalak rahe har baar.....

dekh sabhi ne socha shyad khushi ke ansu hai hasi ke saath....
par koi yeh na dekh saka ki gumo bhari thi wo muskaan......

chalta raha chalata raha....raaste na bichde jab tak wahan....
kho gaya fir uss mod pe jaake.....muda jaha se tha mai akela.....

kuch door chala ek aahat se chauka ....shyad koi aaya tha...
wo ek wahi tha saath me mere jisne apna mujhe bnya tha....

dekh usse uss raah me ...chlake aansu fir iss baar...
par yeh ansu khushi ke hi the ...jiskj muje thi kab se darkaar...

wo saath chala fir saath me mere ...aur khushi ka saya tha....
soona mera jeevan tha kab se ...ab sab kuch maine paaya tha...
ab sab kuch maine paaya tha.....

         -vivek

Saturday, 26 January 2013

Prem.kahani :D



Gumsum raahe veeran andhera..
Dil maage sirf saath ho tera,
Raat me aun mai milne tujhse..
Dheere dheere chupke chupke..
Mil jaye jo baap wo tera...
Khoon na karde saala mera..
Teri maa kaa.........kya kehna
Dher sa makeup kilo bhar gehna
Uspe bhi wo kahte rehna.......
"ARE ABI MAINE MAKEUP KIYA HI KAHAN HAI"
Jis din sanka dimaag mera.....
Duniya me bachunga bas mai hi tera..
Samjha le apne tu baap ko
Ghar pe pehra na de raat ko....
Na roke milne se tujhko
Apna daamaad maan le mujhko
Jaldi se kara de apni sagai..
Sahi nahi jati ab judai....
Warna marega kisi din saala....
Chadh jayegi photo pe maala
Le jaunga tujhe utha ke
Maar ke ghar pe bahar se taala.....

Friday, 25 January 2013

heartly thanks ....




 I HEARTLY THANKS TO ALL THOSE WHO HAVE PAID A VISIT TO MY BLOG AND READ MY POEMS...
PLEASE KEEP COMING BACK...
THANK U TO EVERY VISITOR.....HEARTY THANKS.. : ) :)
AND ALSO PLEASE DO FOLLOW MY BLOG THROUGH YOUR GOOGLE ACCOUNTS OR GOOGLE BLOGGER.... IF U LIKE IT.......

                                           -vivek tiwari

GHARAUNDA...




Tinka tinka jod bnya ek gharauda chota sa...
Par khabar kaha uss waqt me thi ki chaar pahar na tik paayega..

Saawn barsa jor tadap kar..
Anke meri royi thi..

Bikhar gaya jab sansar tha mera..
Uss raat na yeh fir soi thi..

Avaaz lagai thi maine apno ko...
Par madhoshi me raaten  khoi thi..

Do ansu duje roz wo roye....Raat na hum sun paaye kuki... 
sapno me aankhen khoyi thi....

Par roya na mai uss roz dobara.
na cheej meri koi khoyi thi....

Jo apne the asal me mere....wo paas aaj bhi hai mere...
Jo dikha rae ki apne the...fikar na unki hoyegi ...ab fikar na unki hoyegi...

              - vivek



Thursday, 24 January 2013

toh koi baat ho...




dhundha hai maine aksar hi apno ko ....
yun hi kabhi koi mil jaaye th koi baat ho...

bheje hai lakho duaon ke khat maine...
kabhi koi gumnaam khat aaye th koi baat ho.....

bol kar na jaane kitno ne apna banaya hai....
kisi ka jaadoo bin bole chal jaaye th koi baat ho...

hosh me th aksar hi haal e dil bayan krte hain log....
koi wahi baat nashe me kah jaaye th koi baat ho....

paas aate dekh th muskuraye hai kai dafa.....
koi door jata dekh maayoos ho jaaye th koi baat ho....

chaha hai jitni shiddat se use maine....
kabhi wo bhi muje chaahe th koi baat ho....

mere saath na reh saka jo kabhi wo...
par mere janaje pe aaye th koi baat ho....
th koi baat ho...

            -vivek

Wednesday, 23 January 2013

SOCH RAHA THA JAANE KYA...




Ool jalulsa ek samandar ,bin lafzo ka ek bavandar…
Man gote khata uske andar, soch raha hai jaane kya..

Jeevan beeta koshish me ..jevan beeta faroshish me…
Beeta jeevan jaane kahan …mai soch raha tha jaane kya…

Kitni ki koshish ..sab ko samjhau.....Kitni ki koshish mai kuch keh jaau…
par jaise roke koi andar ...ku tod raha saare armaa...
mai soch raha tha jaane kya..

Thak haar ke jab fir chuppi saadhi…..maun kardi jindgi aadhi..
ghaav laga tha dil pe gehra. …mai jaane kya tha soch raha….

Badal gaya  khush sab ko dekhu.,,,.badla gaya ab kitna roku..
Chod diye armaan wo saare…..bhula diye wo lamhe pyaare
Bas dekh raha hu mila hai kya….kaun hai mera mai hu kiska..
chod ladai sanso ki. jaane kya tha soch raha ....jaane kya tha soch raha...

                                                   -VIVEK

TERA SAYA....



Veeran raahen thedi dagar...

Dil khush hai fir bhi magar....

Saath tu nahi th kya.....

Teri yaadon ka dil pe gahra hai asar...!!!!

Tuesday, 22 January 2013

MILNA HOGA FIR KABHI...


Dher udaasi behti rahi...
gamo ki badri chaai thi...
Par hum jeeye yeh soch kr ki milna hoga fir kabhi..

Lamhon ki saajish ab samjh me aai thi ....
ku har pal yaad satai thi ....
har lamha rooth chal tha mujhse, rooth gayi thi saari khushi...

Par hum jeeye tabhi bhi, yeh sochkr....
ki milna hoga fir kabhi..

Saanse laut na paai thi...
jab badhi khoob tanhaai thi...
aur yeh soch hum mare tabhi...
ki milna hoga fir kabhi ...ki milna hoga fir kabhi....


                          -vivek